SAMJHO
duplicate aksar tab banta hai jab do alag staff ne, ya do alag time par, wahi payment dobara darj ki. "Collect payment" me same UTR wali UPI payment dobara darj nahi hoti, isliye UPI me UTR zaroor daalo.
CHECK karo:
- Dono entries kholo — kis user ne, kab darj ki (Setup → Admin → Users & Policy → Day Activity ya audit log).
- Confirm karo paisa ek hi baar aaya — bank/UPI me ek hi UTR hai.
FIX
- Duplicate receipt ko Patient chart → Visits → "Payments Received" → "🗑 Void" karo — sirf admin/owner; owner ne Action Guard me "Delete payment entry" par PIN lagaya ho to PIN. Void = archive: us payment ke refunds bhi archive hote hain aur bill ka balance dobara banta hai.
- Payment purani date ki hai aur us din ka Day End close hai to void nahi hoga — pehle Billing → Day End me us din ko Reopen karo.
PREVENTION
- Payment darj karne se pehle Visits me aaj ki "Payments Received" par ek nazar — entry pehle se to nahi?
- Counter par rule: ek waqt me ek hi staff payment darj kare.